Posts

Kuch hain aarzoo dil ke

Image
Kuch hain aarzoo dil ke Kahin rakhe hain dabaae sapne dil ne Jab bhi kabhi dil se puchha Akhir tu kya chahata hain Dil fir wohi armaan batata hain Dil wohi baat yaad dilata hain Par jo na lage aansan kabhi Jiske har mod hain mushqil Dil aakhir wohi kyun chahata hain Door door na dikhta hain rasta Jis mod main har kahin sirf niraasha Dil aakhir kyun wohi chahata hain Jis dil ki baat chupaye hum bathe hain Logon ke saamne yeh baat rakhne se katrate hain Lage pata agar kissi ko Hoga mazak saara khudi ko Par kambakht dil wohi kyun mangta hain Yeh dil aakhir kya chahata hain Par socha kabhi kya dil sahi Bin soche koodne ki aasha Khud par yankeen karne ki paribhasha Hum kabhi na samajh paayenge Agar Duniya ki aankhon se khud ko samjahenge

Woh Akhri Mulaaqaat

Image
Woh akhri mulaaqaat Woh akhri missed call Woh akhri intezaar Woh akhri baar nano ke khel Woh akhri baar baalon se khelna Woh akhri coffee Woh akhri picture ke ticket Woh akhri dhup mein  tej gaadi chalana Woh akhri hansi Woh akhri msg Woh akhri miley sang ek kadam Woh ek muskaan Woh hi Woh ka ek ehsaas Woh akhri dinner Woh akhri barish mein bhigna Woh akhri raat Woh akhri baat Woh akhri chuppi Par fir bhi kaffi kuch baatein rahe gaye jo baaki Woh ek dard sa ehsaas Woh akhri palon ko ginna Woh akhri palon mein puri zindagi ka ehsaas Woh akhri mulaaqaat

Soch ki Chidiya

Image
Door Ambar Hain Neela             Aas Pas Pathar Ke Shila Kahin Purani Haveli Kahin Purane Kila Idhar Pag-Dadniyaan Udhar Tahniyan-Patiyaa Udti Haava Mein Pankhudiyaan Bheti Tooti Lakdiyaan Koi Komal Si Raani Toh Koi Veer Raaja Koi Tedhi Medhi Love Story Toh Koi Bhooton Ki Kahani Har Pal Ko Mein Dekhta Hun Har Samma Ko Ehsaas Karta Hun Har Rishto Ke Mushkil Har Utsav Ke Mehfil Mein Toh Hun Soch Ki Chidiyan Kabhi British Raj Toh Kabhi Kal Aur Aaj Ek Pyari Si Gudiyan Aur Koi Chudel Budiyan Cham Chamati Tuthe Tare Aur Woh Andheri Raate Kisi Chor Ki Tijori Woh Sundar Si Gori Kissi Ki Haar Toh Kisi Ki Heer Kisi Ki Jeet Toh Kisi Ki Meet Kahin Sun Kar Deti Kisi Ladki Ki Cheekh Toh Kahin Mithi Si Koyal Ki Geet Kabhi Heer Aur Ranjha Toh Kabhi Akbar Aur Birbal Har Mod, Har Ehsaas, Har Pal, Har Baat Har Rishte, Har Log Har Shabd, Har Raah Mein Toh Hun Soch Ki Chidiyan Udta Hun Door Gagan Ambar Mein Jhankta Hun Apne Hi Duniya Mein Aur Fir Uss B

Aye Dard Tu Kyun Kafa Hain

Image
Aye Dard Tu Kyun Kafa Hain Aye dard tu kyun kafa hain Tu kahin aas paas yahin hain Par yeh teri ahesas ab nahi hain Aye dard tu kyun nahi hain Tujhse pehle dooriyan chahata Tujhse kabhi rota, kabhi darta Par ab jo teri aadat si hui hain Aye dard teri ahat kyun nahi hain Zindagi ke kayin mod aayein Kuch dard laye, kuch mohobbat laye Par ab jo teri adat si hui hain Pyar chod, teri hi kami hain Aye dard tu kyun nahi hain Dil, Chahat aur yeh Zindagi Sab har mod mein yun hi choote Kuch yun choote, kuch ne choda Par saath ab tak dard tu hi chala hain Is akelepan ka saathi hain tu Aye dard tu kyun kafa hain Aye dard tu ab kaha hain Ab jo teri adat si hui hain