Posts

Showing posts from May, 2012

Kuch hain aarzoo dil ke

Image
Kuch hain aarzoo dil ke Kahin rakhe hain dabaae sapne dil ne Jab bhi kabhi dil se puchha Akhir tu kya chahata hain Dil fir wohi armaan batata hain Dil wohi baat yaad dilata hain Par jo na lage aansan kabhi Jiske har mod hain mushqil Dil aakhir wohi kyun chahata hain Door door na dikhta hain rasta Jis mod main har kahin sirf niraasha Dil aakhir kyun wohi chahata hain Jis dil ki baat chupaye hum bathe hain Logon ke saamne yeh baat rakhne se katrate hain Lage pata agar kissi ko Hoga mazak saara khudi ko Par kambakht dil wohi kyun mangta hain Yeh dil aakhir kya chahata hain Par socha kabhi kya dil sahi Bin soche koodne ki aasha Khud par yankeen karne ki paribhasha Hum kabhi na samajh paayenge Agar Duniya ki aankhon se khud ko samjahenge

Woh Akhri Mulaaqaat

Image
Woh akhri mulaaqaat Woh akhri missed call Woh akhri intezaar Woh akhri baar nano ke khel Woh akhri baar baalon se khelna Woh akhri coffee Woh akhri picture ke ticket Woh akhri dhup mein  tej gaadi chalana Woh akhri hansi Woh akhri msg Woh akhri miley sang ek kadam Woh ek muskaan Woh hi Woh ka ek ehsaas Woh akhri dinner Woh akhri barish mein bhigna Woh akhri raat Woh akhri baat Woh akhri chuppi Par fir bhi kaffi kuch baatein rahe gaye jo baaki Woh ek dard sa ehsaas Woh akhri palon ko ginna Woh akhri palon mein puri zindagi ka ehsaas Woh akhri mulaaqaat

Soch ki Chidiya

Image
Door Ambar Hain Neela             Aas Pas Pathar Ke Shila Kahin Purani Haveli Kahin Purane Kila Idhar Pag-Dadniyaan Udhar Tahniyan-Patiyaa Udti Haava Mein Pankhudiyaan Bheti Tooti Lakdiyaan Koi Komal Si Raani Toh Koi Veer Raaja Koi Tedhi Medhi Love Story Toh Koi Bhooton Ki Kahani Har Pal Ko Mein Dekhta Hun Har Samma Ko Ehsaas Karta Hun Har Rishto Ke Mushkil Har Utsav Ke Mehfil Mein Toh Hun Soch Ki Chidiyan Kabhi British Raj Toh Kabhi Kal Aur Aaj Ek Pyari Si Gudiyan Aur Koi Chudel Budiyan Cham Chamati Tuthe Tare Aur Woh Andheri Raate Kisi Chor Ki Tijori Woh Sundar Si Gori Kissi Ki Haar Toh Kisi Ki Heer Kisi Ki Jeet Toh Kisi Ki Meet Kahin Sun Kar Deti Kisi Ladki Ki Cheekh Toh Kahin Mithi Si Koyal Ki Geet Kabhi Heer Aur Ranjha Toh Kabhi Akbar Aur Birbal Har Mod, Har Ehsaas, Har Pal, Har Baat Har Rishte, Har Log Har Shabd, Har Raah Mein Toh Hun Soch Ki Chidiyan Udta Hun Door Gagan Ambar Mein Jhankta Hun ...